= Rafadain Tark Karne ki Zaeef (weak ) Hadithe..=========
======= Rawi Kufi hai Aur Shiyaa hai. .===========
Abu Dawood:--
Abdullah bin Masood r.a. ne fermaya , Kya Mai tumhe Rasulullah sws ki Namaz na bataau? Unhone namaz perhi aur hath na uthhaya mager Pahli Martaba.
Tajziya:--- Imam Abu Dawood is Hadith ke baad Fermaate hai.
" Lais howa be sahi Ala Haja Lafz "
Tarjuma :- Ye hadith in Alfaaz ke sath sahi nahi hai. (Abu Dawood hawala Mazkoor)
{ Darus salam Riyadh Aur Baitul ifkaaul dawlia ki Shaya karda kitab me ye tabsara mauzood hai.}
Imam Tirmizi ne Abdullah Mubarak ka Qael Naqal kia hai.
" Lam yathabit Hadith ibne Masood "
Abdullah bin Masood r.a. ki Tarke Rafadain ki hadith saabit nahi .
{ Tirmizi 253 }
Imam Ibne Habban Rahmtulah ne kaha isme Sufiyan soori Mudallis hai, Aur Mudallis ki aan se riwayat Zaeef hai.
Abu Dawood:-
Hajrat bara r.a. kahte hai maine Rasulullah sws ko dekha aap jab Namaz shuru kerte to dono haath ko kaano tak uthhate (Summa lam yaood ) Fir Nahi uthhate the.
{Abu Dawood 749 }
Explanations :-
Imam Nowi kahte hai ye Hadith zaeef (weak ) hai.
* Imam Shafai aur Imam bukhari ke ustad Imam Hameedi aur Imam Ahmad bin Hambal ne Zaeef kaha hai.
* Imam Sufiyan bin Aayeena ne Zaeef kaha hai. Kyoke yazeed bin abi zeyad pahle " Lam Yawood " nahi kahta tha,
Ahle koofa ke parhane per usne ye Alfaaz barha diye. Yazeed bin Zeyad Zaaef aur
Shiya bhi tha.
--
--
Best Regards,
Syed Ibrahim Ahmed (Talha)
No comments:
Post a Comment