Monday, June 25, 2012

Shab-e-Barat Aur Uski Haqeeqat...! !!






Shab-e-Barat Aur Uski Haqeeqat...! !!

Shaban Maheene Mein 15th Shab Ko Shab-E-Barat Ke Naam Se Yaad Kiya Jata Hai ...!! Ulma-e-Soo Is Raat Ke Liye Shab-e-Qadr Jaisi Fazilate Bayan Karte Hain... Yeh Aqeeda Rakha Jata Hai Ke Is Raat Poore Saal Main Hone Wale Waqkhyat Ka Faisla Kiya Jata Hai ... Is Raat Infiradi Wa Ijtimayee Ibadato Ka Ah...tmam Kiya Jata Hai ... Atish baziya Ki Jati Hain... Masjido Main Chiragha Kiya Jata Hai ... Bewa Aurte Ye Samajhti Hain Ke Unke Shoharo Ki Roohe Is Raat Aati Hain Isliye Behtreen Qism Ke Pakwan Tayyar Karke Unka INtezar Karti hain ..!!

Shab-E-Barat Ki Fazilat main Quran Ki Yeh Ayat Paish Ki jati Hai ..... " Hamne Is (Quran) Ko Mubarak Raat Main nazil Farmaya , Hum Logo Ko Darane Wale Hain " ( Al-Dukhhan Ayat No.3)
In Ka Yeh Qoul Sarasar Ghalat Wa Bebuniyad Hai Jiski Daleel Yeh Hai ke Allah RabbulAlaameen Ne Is Ayat Main Jis Raat Ko Mubarak Raat Kaha Hai Woh Ramadan Ki Shab-E-Qadr Hai Na Ke Shab-E-Barat. .. Kyonki Yeh Baat Har Musalman Janta Hai Ke Quran Kareem Ka nazool Maha Ramadan main Hua Hai Na Ke Shahban Ke Mahine Main.

Irshad-e-Rabbani Hai "Ramadan To Woh mahina Hai Jisme Quran Majeed Nazil Kiya Gaya " ( Al-Baqra .. Ayat no. 185)

Doosri Jagah RabbulAalaameen Irshad Farmata Hai " Humne Is (Quran Kareem) Ko Shab-E-Qadr Main Nazil Farmaya Tumhe KYa Malum ke Shab-E-Qadr Kya Hai, Shab-E-Qadr Main ek Raat Ki Ibadat Hazar Mahino Ki Ibadat Se Behtar Hai " ( Al-Qadr..Ayat no.1-3)
In Ayaat Se maloom Hua Ke Surah Dukkhan Ki Ayat no. 3 Main Jis Mubarak Raat Ki Taraf Ishara Kiya Gaya Hai Usse Murad Shab-E-Qadr Hai Na Ke Shab-E-Barat. .!!
Shaban Ki 15wi Raat Ki Fazilat Main Jo Bhi Hadeese Bayan Ki Jati Hain Sab Ki Sab Mozoo Ya Zaeef Hain ... Isi Tarhan Is Raat Ki Ibadato ke silsile Main Jo Bhi hadees bayan Ki Jati Hain Woh Sari Mozoo (unAuthentic) Hain..!!

Ek Hadees Hai Jo 15wi Shab Ke Liye Bayan Ki Jati Hai " Rasool Allah SAW ne Farmaya Ke Allah SWT 15wi Shahban Ki Raat Ko Matlah Hokar Mushriq Wa Keena Parwar Ke Siwa Poori Makhlooq Ko Maaf Kar Deta Hai " ( Ibn Ma'aja Silsila Saheeh 1652)
Lekin Is Hadees main Is Raat Ke Liye Makhsoos Ibadat Karne Ki Na Koee Dalee Hai Aur hi Kisi Ibadat Ka Hukum Diya Gaya Hai ..
Aur Jahan Tak Logo Ki Maghfirat Ki Baat Hai Tu Yeh Sirf isi Raat Ke Sath Khas Nahin Hai Balke Yeh To Har Din Hota Hai .. Jaisa Ke Saheeh Hadees Se Sabit Hai Ke..
Allah SWT Har Din Akhri Raat Ke Pehar main Sama Dunia Per Aata Hai AUr Yeh Ailan Karta Hai Ke : Kon Hai Jo Mujhe PUkare Phir Main Uski Dua Ko Qabool Karon, Kaun Hai Jo Mujhse Sawal kare AUr Main Use Doo, Kaun Hai Jo Mujh Se Maghfirat Talab Kare AUr Phir Main uski Maghfirat Kardon "
Isse Malum Hua Ke Gunaho Ki Maghfirat Ka Kaam hamesha Hota Rehta HaiYeh Sirf Shab-e-Barat Ke Sath Khas Nahin...!!
Haqeeqat yeh Hai Ke Shab-E-Barat Ka Islam Se Koee Taulluq Nahin Hai Ise Ijad Karne Wale Raafdi Hain ..!!
Ab Koee Yeh Kahe Ke Hum Is Raat Ibadat Hi To karte Hain To Isme Burayee Kya Hai .. Burayee Ibadat Main Har Giz nahin Hai Burayee Hai is Baat Main Ke Jo Baat Rasool SAW ne Nahin Batayee Woh Hum Kaise Kar SakTe Hain ?
Ek Insan Agar Asr Ke 4 Farzo Ki jagah 5 Parhne Lage To Kya WOh Sahee HOga? Hargiz Nahin Jabke Woh Ek Rakat Namaz Hi ZYada parh Raha Hai Per Rasool Allah SAW ne 4 Bataye Hain To Hum Usse Zyada Ya kam Nahin Kar Sakte...
Isi Tarhan Ibadat Allah SWT ke Yahan WOh Qabool Hogi Jiske Karne Ka Hukum Rasool SAW Ne Diya Hai ...
Aur Shab-e-Barat Ki Ibadat Kisi Bhi Sahee Ahdees Se Sabit Nahin....
Zara Sochiye Ke Agar Yeh Itni Fazilat Wali Raat Hoti To KYa Sahaba ikram Is Raat Ko Ibadat Na Karte? Koee Ek Bhi Wakhiya Sahaba ikram se Sabit Nahin Ke Un Logo Ne Is Raat Ko Khas Ibadat Ki Ho ... Jo Khas Ibadat Ki Raat Hai WOh To Ramadan Ki Shab-e-Qadr Hai Usme Jitni Chahe Ibadat Karein...!!
Ek Baat Yaad Rakhein Ke Allah SWT Us Ibadat Ko Qabool Karta Hai Jisme Niyat Khalis Allah Ki Raza Ki Ho AUr Tareeqa Khalis Rasool Allah Sallallahu Alaiwasallam Ka Ho ..!!

Ek Baat Aur Ki Jaati Hai 15 Tareekh Ko Ke Log Halwa Banate Hain BantTe Hain Apas Main Aur Bahut Sawab Samajhte Hain... Iski Haqeeqat Kya Hai Yeh BHi Dekhlein..!! Halwa Banane Wale iski Daleel Yeh Dete Hain Ke Ghazwa-e-Ohud Main Rasool SAW ke Dandane Mubarak Shaheed Hue The Takleef Ki Wajah Se Aap SAW khana Khane se Qasir The.. Isliye Rasool SAW Ne Halwa Naush Farmaya Tha Aap SAW ki Is Sunnat Per Amal Karte Hue Is Raat Halwa Khori Ki Jati Hai.. Yeh Woh Daleel Hai Jis Per Halwa Khoro Ki Poori Imarat Qayam hai...!!
Tareekhi Aitbar Se Bhi Ye Daleel Bebuniyad Hai.. Isliye Ke Ghazwa-e-Ohud Shawal 3 Hijri Main paish Aya Tha Na Ke Shahban Ke Mahine Main, yeh Kitni Khilafe Aqal Baat Hai ke Dandane Mubarak Maah Shawal Main Shaheed Hon Aur Halwa Khane Ki Sunnat Maah Shahban Main Ada Ki Jaye.. Woh Bhi Sirf Ek Din ? Aur Agar Sunnat Se Itni Mohabbat Hai To Pehle Dant Shaheed Karwain Phir Halwa Khaein..!!
Yeh Aqeeda Ke Roohe Wapas Aati hain Yeh Quran Kareem Ke Khilaf Aqeeda Hai marne Ke Baad Kisi Ki Rooh Dunia Main Wapas Nahin Aati hai ...
Irshad-e-Rabbani Hai
" Aur Inke Peeche Ek Parda Hai Us Din Tak Ke Woh Dubara Uthaye Jayein " ( Al-Momenoon 100) Yani ke Allah SWT ne Rooho Ke Dunia Main Ane Ke Raste Per Rok laga Rakhi Hai !!
Rasool Allah SWT Ka Irshad hai " Qayamat Ke Din Sabse Pehle Main Uthunga " ( Saheeh Bukhari 2412 , Saheeh Muslim 2374)
Ruhon Ke Dunia Main Wapas Ane Ka Aqeeda Butt Parasto Ka Aqeeda hai..!!
Yeh Hai is Raat Ki Haqeeqat Jiski Daleel Na Quran Main Hai Na Ahdees main Aur Na Hi Khulfaye Rashe Deen Ke Dour main ..! phir Hum Kyon Ek Aisi Baat Ke Peeche Lage Hue Hain Jo Deen Ka Hissa Nahin ?
Alhamdolillah Hamara Deen Kamil Hai Rasool Allah Saw Deen Ki Har Baat Bata Kar Gaye Hain Gar Humne Itna Kar Liya Jitna Hamein Bataya Gaya Hai To Insha Allah Hamara Allah Hamse Razi Ho jayga..!!
Kisi Bhi Bidat Ko Chhota Na Samjho Rasool Allah SAW ne Bidat Karne Wale Ko Kaha Hai Ke Woh Hum Main Se nahin ..!!
Farmaye Rasool SAW hai " Jisne Hamare Deen main Koee Nayee CHeez Ijad Ki Jiska Deen Se Koee Taulluq Nahin Hai Tu WOh Mardood Hai " (Saheeh Bukhari 2697)
Ek Aur Hadees Hai "Deen ke Andar Nayee Nayee Cheeze Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila-shubha Har Nayee Cheez Bidat Hai Aur Har Bidat Gumrahi Hai " (Abu'daud Kitab Al Sunnah 7064)
Allah Rabbul-Alameen Tamaam Musalmano Ko Huq Baat Qabool Karne Ki Toufeeq Ata Farmaye, Aur Bidat Aur Khurafaat Se Mehfooz Rakhein...
(Aameen )





 
 
 




--
   Your brother in Islam
~*Syed Ibrahim (Talha)~*
 
 



 
 
 

No comments: